Friday, June 11, 2010

Muhe vishwaas hai khud par..

Mujhe vishwaas hai khud par..
ek din udungi mein aasmaan par,
ek din baadalon pe paon rakh kar chhu lungi sitaron ko,
ek din khelungi mein chand ko football samajhkar,
ek din suraj ko apni roshni dikhaungi
ek din mein khud apni duniya banaungi..

haan mujhe vishwaas hai khud par..
ek din mein bhi daudungi is bheed me sabko peechhe chodte hue,
ek din mein dekhungi, us building ke top floor se neeche aur duniya choti si lagegi,
ek din mera naam bhi logon ki zubaan par hoga,
ek din ye duniya mere ishaaron pe chalegi,
ek din me bas kahungi aur ye saari duniya sunegi..

haan mujhe vishwaas hai khud par..
ek din zindagi ke portrait me rang bharungi apne mutabik,
ek din me samay ko rok lungi aur phir usme chabi bharke khud samay ko gati dungi,
ek din meri dhun par chidiya chehchahayegi, jharne gayenge mere geet aur koyal gungunayegi,
ek din me is duniya se dard aur takleef mita dungi aur sirf hansi aur khushi ko jagah dungi,
ek din me beh jaungi baarish ki tarah aur bikhar jaungi indradhanush banke..

1 comment:

  1. ek din koi ma mujhe janam dekar dukhi nahi hogi
    ek din mere pita ko mujh par garv hoga
    ek din meri shaadi par dahej nahi dena hoga.........

    waise very well written...inspiring :)

    ReplyDelete